raat ke Khvab sunaaye kisko raat ke Khvab suhane the
dhundhale dhundhale chehare the par sab jane
pahachane the
ziddii vahashii alhad chanchal miithe log rasiile log
honth unke Gazalo ke misare aankho mein afsaane the
ye ladakii to in galiyo mein roz hii ghuumaa karatii thi
is se unko milanaa thaa to is ke laakh bahaane the
ham ko saari raat jagaayaa jalate bujhate taaro ne
ham kyuN unke dar pe utare kitane aur Thikaane the
vahashat ki unvaan hamaari in mein se jo naar banii
dekhenge to log kahenge 'Insha' ji diiivaane the.
|
us shaam vo ruKhsat kaa samaan yaad rahegaa
vo shahar vo kuuchaa vo makaan yaad rahegaa
vo Tiis ki ubhari thi idhar yaad rahegi
vo dard ke uthaa thaa yahaa yaad rahega
hum shauq ke shole kii lapak bhuul jaayenge
vo shamaa-e-fasurdaa kaa dhuaa yaad rahega
kuchh miir ke abyaat the kuchh faiz ke misare
ik dard kaa thaa jin mein bayaa yaad rahegaa
jaan baKhsh sii thii us gulbarg kii taraavaat
vo lams-e-aziiz-e-do-jahaa yaad rahegaa
hum bhuul sake hai na tujhe bhuul sakenge
tuu yaad rahegaa hamein haa yaad rahegaa.
|
dil ki baat labo par laakar ab tak hum dukh sahate hai
humne sunaa tha is bastii mein dil vaale bhii rahate hai
biit gaya sawan ka mahina mausam ne nazare badali
lekin in pyasi aankho mein ab tak aansu bahate hai
ek hamein aavaaraa kahanaa koi badaa ilzaam nahi
duniyaa vaale dil vaalo ko aur bahut kuchh kahate hai
jis ki Khaatir shahar bhi chhoda jis ke liye badnaam hue
aaj vahi hum se begaane begaane se rahate hai
vo jo abhii rahguzar se chaak-e-garebaa guzaraa tha
us aavaaraa divaane ko 'Jalib'-'Jalib' kahate hai. |